लौकी की सब्जी- Lauki ki Sabji Recipe

Lauki ki Sabji Recipe in Hindi - लौकी की सब्जी
 
Author:
Ingredients
  • लौकी (Lauki / Ghiya) - ½ किलो
  • प्याज (onion) - 2, बारीक कटा हुआ
  • टमाटर (tomato) - 2, बारीक कटा हुआ
  • जीरा (cumin) - ½ चम्मच
  • हल्दी पाउडर (haldi powder) - ¼ चम्मच
  • हरी मिर्च (green chilli) - 1, बारीक कटी हुई
  • धनिया पाउडर (coriander powder) - 1 चम्मच
  • हींग (Asafoetida) - 1 चुटकी
  • हरा धनिया (green coriander) - 1 बड़ा चम्मच, बारीक कटा हुआ
  • गरम मसाला (garam masala) - ½ चम्मच
  • तेल - 2 बड़े चम्मच
  • नमक स्वादानुसार
Instructions
  1. लौकी की सब्ज़ी बनाने के लिए, लौकी को धो कर छील लें और छोटे टुकड़ों में काट कर एक तरफ रख दें।
  2. एक कढ़ाई में तेल गरम करें।
  3. तेल गरम होने पर जीरा डाल कर भुने।
  4. कढ़ाई में बारीक कटा प्याज़ डालें।
  5. प्याज़ भुन कर भूरा होने पर हींग और टमाटर डाल कर पकाएं।
  6. टमाटर प्याज़ का तड़का जब तेल छोड़ने लगे तब कढ़ाई में कटी हरी मिर्च, हल्दी पाउडर, धनिया पाउडर और दो बड़े चम्मच पानी डाल कर मसाला भून लें।
  7. मसाला भुन जाने पर घिया डाल कर मिक्स करें और कढ़ाई को प्लेट से धक दें।
  8. २ से 3 मिनट बाद आँच धीमी कर दें और धीमी आँच पर घीया पकाएं। (बीच-बीच में घीए को चलाते रहें)
  9. जब घिया नरम हो जायें तब गैस बंद कर दें।
  10. लौकी पर गरम मसाला और बारीक कटा हरा धनिया डालें।
  11. त्यार लौकी की सब्ज़ी रोटी के साथ सर्व करें।

Lauki ki Sabzi Recipe in Hindi – घीया की सब्जी Kaise Banaye:

lauki ki sabji, how to make Lauksi sabzi, Laukri sabji hindi, लौकी की सब्जी बनाने की विधिHow to make Lauki Sabji (लौकी की सब्जी Banane ki Vidhi) Step by Step Guide Hindi mein:

  1. Lauki ki sabzi banane ke liye, lauki ko dho kar cheel lein aur chote tukdon mein kaat kar ek taraf rakh dein.
  2. Ek kadhai mein tel garam karein.
  3. Tel garam hone par jeera daal kar bhune.
  4. Kadhai mein baarik kata pyaaz daalein.
  5. Pyaaz bhun kar bhoora hone par hing aur tamatar daal kar pakayein.
  6. Tamatar pyaaz ka tadka jab tel chhorne lage tab kadhai mein kati hari mirch, haldi powder, dhaniya powder aur do bade chammach paani daal kar masala bhoon lein.
  7. Masala bhun jaane par ghiya daal kar mix karein aur kadhai ko plate se dhak dein.
  8. 2 se 3 minute baad aanch dheemi kar dein aur dheemi aanch par ghiye ko pakayein. Beech beech mein ghiye ko chalate rahein.
  9. Jab ghiya naram ho jayein tab gas band kar dein.
  10. Ghiye par garam masala aur baarik kata hara dhaniya daalein.
  11. Tyaar lauki ki sabzi roti ke saath serve karein.

How to make ghiya (lauki) ki sabzi in cooker.

  • Ghiye ki sabji cooker mein banane ke liye kadhai ki jagah cooker lein aur Step 7 ke baad cooker ko band kar ke ghiya pakayein.
  • Ek seeti aane par , aanch dheemi kar dein aur 0 se 12 minute tak dheemi aanch par pakayein aur gas band kar dein.
  • Pressure khatam hone par, cooker ka dhakan kholein aur garam masala aur hara dhaniya daalein.
  • Swadishth aur paushtik ghiya ki sabzi serve karein.

Save

Read More:

Leave a Reply

Your email address will not be published.

*

code

Rate this recipe: