Rava Kesari Recipe – रवा केसरी रेसिपी | Sooji Kesar Halwa

Rava Kesari Recipe Ingredients:

  • सूजी / रवा – 1 कप
  • चीनी – 1 कप
  • देसी घी – 3/4 कप
  • पानी – 4 कप
  • केसर – 1/2 चम्मच
  • काजू, किशमिश – 1/4 कप

रवा केसरी रेसिपी – Rava Kesari in Hindi

  1. एक कटोरी में गुनगुने पानी में केसर को घोल लें।
  2. कड़ाही लें और उसमे 2 चम्मच घी गरम कर लें और काजू किशमिश को धीमी आँच पर फ्राइ कर लें और एक प्लेट में निकाल लें।
  3. उसी कड़ाही में बाकी घी गरम कर लें और सूजी को खुश्बू आने तक उतना ही भूने जब तक उसका रंग ना बदले।
  4. सूजी भुन जाने पर कड़ाही में 4 कप पानी और केसर का घोल डाल कर अच्छे से मिलायें।
  5. हलवा को मध्यम आँच पर पानी सूखने तक चलाते रहें।
  6. पानी सूखने पर कड़ाही में चीनी डालें और सूजी में अच्छे से मिला लें। हलवे को धीमी आँच पर पकाएं। केसरी को मध्यम आँच पर चलाते रहें।
  7. जब केसरी कड़ाही छोड़ने लगे तब उसमे फ्राइ किए हुए ड्राइ फ्रूट्स और कसा हुआ नारियल डाल कर मिलायें।
  8. रवा केसरी तैयार है, गरमा गरम खिलायें और खायें।

Rava Kesari Recipe in Hindi – रवा केसरी kaise banaye:
rava kesari recipe, sooji kesar halwa banane ki vidhiHow to make Rava Kesari (रवा केसरी Banane ki Vidhi) Step by Step Guide :

  1. Ek katori mein gungune paani mein kesar ko ghol lein.
  2. Ek kadahi lein aur usme 2 chammach ghee garam kar lein aur usme kaaju kishmish ko dheemi aanch par fry kar lein aur ek plate mein nikaal lein.
  3. Usi kadahi mein baaki ghee garam kar lein aur sooji ko khushboo aane tak utna hi bhoone jab tak uska rang na badle.
  4. Sooji bhun jaane par kadahi mein 4 cup paani aur kesar ka ghol daal kar ache se milayein.
  5. Halwa ko madhyam aanch par paani sookhne tak chalate rahein.
  6. Paani sookhne par kadahi mein chini daalein aur sooji mein achhe se mila lein aur halwe ko dheemi aanch par pakayein. Kesari ko madhyam aanch par chalate rahein.
  7. Jab kesari kadahi chhorne lage tab usme fry kiye hue dry fruits aur kasa hua nariyal daal kar milayein.
  8. Rava kesari taiyaar hai, garma garam khilayein aur khayein.

Read More:

Leave a Reply

Your email address will not be published.

*

code