Aloo Bhindi Recipe – Aloo Bhindi Ki Sabji

Aloo Bhindi Ingredients:

  • Potato / Aloo – 2
  • Ladyfinger / Bhindi – 250 gram
  • Hing – 1 chutki
  • Haldi powder – ½ chota chammach
  • Dhaniya powder – 1 chammach
  • Lal mirch powder – ½ chammach
  • Garam masala – ½ chammach
  • Namak – ½ chammach ya Swadanusar
  • Tel – 2 bade chammach

aloo bhindi banane ki vidhi, aloo bhindi, potato ladyfinger image

Aloo Bhindi ki Sabzi Banane ki Vidhi – Step by Step Guide in Hindi:

  1. Aloo bhindi banane ke liye, aloo ko dhokar cheel lein aur chote tukde kaat lein.
  2. Bhindi ko dho kar kapde se poch lein aur gol gol kaat lein.
  3. Ek kadai mein tel garam hone rakhein.
  4. Tel garam karke aloo shallow fry kar lein.
  5. Aloo gal jaane par aloo ko ek pate mein nikaal lein aur phir usi tel mein bhindi fry kar lein aur phir bhindi ko bhi plate mein nikaal lein.
  6. Ab kadahi mein hing, haldi powder, dhaniya powder, lal mirch powder daal kar mix karein.
  7. Phir kadahi mein shallow fried aloo aur bhindi daalein aur namak daalkar acche se mix karein
  8. Aloo bhindi ko 5 se 7 minute dheemi aanch par dhak kar pakayein aur phir gas band kar dein.
  9. Tyaar aloo bhindi ki sabji roti ke saath serve karein.

Incoming Search Terms:

  • aloo bhindi ki sabji kaise banate hain
  • आलू भिंडी की सब्जी
  • aloo bhindi ki sabji banane ka tarika Hindi mein
  • aloo bhindi ki sabji banane ki recipe
  • aloo bhindi banane ka tarika

Read More:

Leave a Reply

Your email address will not be published.

*

code