Aadu (Peach) Jam Recipe – आड़ू की जैम

Aadu Jam Recipe - आड़ू की जैम | Peach Jam Recipe in Hindi
 
Author:
Ingredients
  • आड़ू - 1 किलो
  • चीनी - 2 कप
  • तेल - 1 बड़ा चम्मच
Instructions
  1. आड़ू को धो कर छील लें और छोटे छोटे टुकड़ों में काट लें।
  2. एक कड़ाही या नॉन स्टिक पैन में बारीक कटे आड़ू को डालें और गैस पर रखें।
  3. मध्यम आँच पर आड़ू को 5 मिनिट तक चलाते रहें। कड़ाही में चीनी डालें और अच्छे से मिलाएं।
  4. आँच धीमी कर दें और आड़ू गलने तक पकाएं। बीच बीच में जैम को हिलाते रहें ताकि वो कड़ाही में चिपके नही।
  5. गलने पर आड़ू को मैश कर दें और जैम तैयार होने पर गैस बंद कर दें।
  6. एक पैन में एक बड़ा चम्मच तेल गरम करें और गरम तेल को तैयार जैम में अच्छे से मिला लें।
  7. जैम ठंडी होने पर एयर टाइट बर्तन में डाल कर फ्रिज में स्टोर करें और जब मन चाहें तब ब्रेड या रोटी पर लगा कर खायें।
Notes
जैम ज़्यादा समय तक ठीक रहें उसके लिए हम तेल गरम कर के उसमे मिलाते हैं।
एयर टाइट कंटेनर में आप जैम को बहुत महीनो तक स्टोर कर सकते हैं।

Aadu ki Jam in Hindi – आड़ू की जैम kaise banaye:

peach jam in Hindi, peach jam image, आड़ू की जैम, aadu ki jam banane ki vidhiHow to make Peach Jam (आड़ू की जैम Banane ki Vidhi) Step by Step Guide Hindi mein:

  1. Aadu ko dho kar chheel lein aur chhote chhote tukdon mein kaat lein.
  2. Ek kadahi ya non stick pan mein bareek kate aadu ko daalein aur gas on kar dein.
  3. Madhyam aanch par aadu ko 5 minute tak chalate rahein. Kadahi mein chini daalein aur achhe se milayein.
  4. Aanch dheemi kar dein aur aadu galne tak pakayein. Beech beech mein jam ko hilate rahein taaki wo kadahi mein chipke nahi.
  5. Galne par aadu ko mesh kar dein aur jam taiyaar hone par gas band kar dein.
  6. Ek pan mein ek bada chammach tel garam karein aur garam tel ko taiyaar jam mein achhe se mila lein.
  7. Jam thandi hone par airtight bartan mein daal kar fridge mein store karein aur jab man chahein tab bread ya roti par laga kar khayein.

Note:

  • Jam zyada samay tak theek rahein uske liye hum tel garam kar ke usme milate hain.
  • Airtight container mein aap jam ko bahut mahino tak store kar sakte hain.

Read More:

Leave a Reply

Your email address will not be published.

*

code

Rate this recipe: