सूजी का ढोकला | Sooji ka Dhokla | Rava Dhokla

Sooji ka Dhokla - सूजी का ढोकला बनाने की विधि | Sooji Dhokla in Hindi
 
Author:
Ingredients
  • सूजी - 1 कप
  • दही - ½ कप
  • पानी - ज़रूरत अनुसार
  • नमक - स्वादानुसार
  • बेकिंग सोडा - ½ चम्मच
  • बेकिंग पाउडर - ½ चम्मच
  • अदरक - 1 चम्मच (कादुकस की हुई)
  • हरी मिर्च - 1 , बारीक कटी हुई
  • तेल - 4 चम्मच
  • सरसों के बीज - ½ चम्मच
  • कड़ी पत्ता - 10 से 12
Instructions
  1. एक भगोने में सूजी, दही और ½ कप पानी को मिला लें और आधा घंटे के लिए छोड़ दें।
  2. इसी दौरान, एक पैन में 2 चम्मच तेल गरम करें, गरम तेल में सरसों के दाने और कड़ी पत्ता भून लें और तड़का तैयार कर लें।
  3. आधे घंटे बाद, घोल में कद्दूकस की हुई अदरक, 2 चम्मच तेल, बारीक कटी हरी मिर्च और स्वादानुसार नमक मिला लें।
  4. घोल में ज़रूरत अनुसार पानी मिला कर इडली जेसा घोल बना लें।
  5. गैस पर स्टीमर को रखें और एल्युमीनियम के बर्तन में तेल लगा कर ग्रीस कर लें।
  6. स्टीम तैयार होने पर आँच धीमी कर दें और घोल में बेकिंग सोडा और बेकिंग पाउडर को मिला लें।
  7. तुरंत ही भोल को एल्युमीनियम के बर्तन में डालें और 15 से 20 मिनट के लिए स्टीम कर लें।
  8. ढोकला में टूथपिक डाल कर चेक करें।
  9. ढोकला को चाकू से काट लें और ऊपर से सरसों और कढ़ी पत्ता का तड़का डाल कर, धनिए की चटनी के साथ परोसें।

Sooji ka Dhokla Recipe in Hindi – सूजी का ढोकला kaise banaye:
sooji ka dhokla kaise banayein

How to make Semolina Dhokla (सूजी का ढोकला Banane ki Vidhi) Step by Step Guide Hindi mein:

  1. Ek bhigone mein sooji, dahi aur 1/2 cup paani ko mila lein aur aadha ghante ke liye chhor dein.
  2. Isi dauran, ek pan mein 2 chammach tel garam karein, garam tel mein sarson ke daane aur kadi patta bhoon lein aur tadka taiyaar kar lein.
  3. Aadhe ghante baad, ghol mein kadukas ki hui adrak, 2 chammach tel, bareek kati hari mirch aur swadanusaar namak mila lein.
  4. Ghol mein zarurat anusaar paani mila kar idli jesa ghol bana lein.
  5. Gas par steamer ko rakhein aur aluminium ke bartan mein tel laga kar grease kar lein.
  6. Steam taiyaar hone par aanch dheemi kar dein aur ghol mein baking soda aur baking powder ko mila lein.
  7. Turant hi bhol ko aluminum ke bartan mein daalein aur 15 se 20 minute ke liye steam kar lein.
  8. Dhokla mein toothpick daal kar check karein.
  9. Dhokla ko chaaku se kaat lein aur upar se sarson aur kadipatta ka tadka daal kar, dhaniye ki chutney ke saath parosein.

Read More:

Leave a Reply

Your email address will not be published.

*

code

Rate this recipe: