Amla ki Chutney Recipe – Amla ki Chutney Banane ki Vidhi

Amla ki Chutney Ingredients:

  • Amla / आंवला – 12 से 15
  • Cheeni / चीनी – 1 कप चीनी
  • Elaichi Powder / इलाइची पाउडर – ¼ चम्मच
  • Kali Mirch Powder / काली मिर्च पाउडर – ¼ चम्मच
  • Kala Namak / काला नमक – ½ चम्मच

amla ki chutney, amla chutney image, amla sauce recipe in HindiAmla ki Chutney banane ki vidhi:

  1. आंवला को धो कर 2 कप पानी और एक छोटा टुकड़ा फिटकरी के साथ खुले पतीले में ५ से ७ मिनट उबाल लें।
  2. आंवला नरम होने पर गैस बंद कर दें और अमला को ठन्डे पानी में अच्छे से धो लें।
  3. नरम आंवला के बीज निकाल लें।
  4. एक नॉन स्टिक पैन या कड़ाही में आमला डालें। आमला में चीनी और इलाइची पाउडर डालें और अच्छे से मिला लें।
  5. अमला को ७ से १० मिनिट के लिए मध्यम आँच पर पकाएं और पानी सूखा लें।
  6. चटनी को पानी सूखने तक पकाएं और फिर इलाइची पाउडर डालें।
  7. अब गैस बंद कर दें।
  8. आमला की मीठी चटनी तैयार है। काँच के बर्तन में डाल कर फ्रिज में स्टोर करें और जब मन चाहे तब खाने से साथ खायें।
  9. आमले की चटनी को आप फ्रिज में रख कर काफी दिन तक स्टोर कर सकते हैं।

How to make Amla ki Chutney Recipe in Hindi:

  1. Amla ko dho kar 2 cup paani ke saath ek chota tukda phitkari daalkar khule patile ya kadahi mein ubaal lein.
  2. Amla naram hone par gas band kar dein aur amla ko thande paani mein ache se dho lein.
  3. Naram amla ke beej nikaal lein.
  4. Ek non stick pan ya kadahi mein amla daalein. Amla mein cheeni, namak aur kali mirch daalein aur ache se milayein.
  5. Amla ko 7 se 10 minute ke liye madhyam aanch par pakayein aur hilate rahein.
  6. Chutney ko paani sukhne tak pakayein aur phir elaichi powder daalein.
  7. Ab gas band kar dein.
  8. Amla ki mithi chutney taiyaar hai. Kaanch ke bartan mein daal kar fridge mein store karein aur jab mann chahe tab khane se saath khayein.
  9. Amle ki chutney ko aap fridge mein rakh kar kaafi din tak store kar sakte hain.

Incoming Search Terms:

  • amla ki chutney banane ki recipe
  • amla ki chutney banane ka tarika
  • amla ki chutney in hindi
  • amla chutney recipe image

Read More:

Leave a Reply

Your email address will not be published.

*

code