Dal ka Paratha Recipe – Dal ka Paratha Banane ki Vidhi

Aksar ghar par banai daal bach jaati hai aur fir samajh ni aata ki bachi hui daal ka kya karein kyonki koi use khane ko taiyaar nahi.

Daal bach jaane par aap use aate ke saath goond sakte hain aur swadishth aur paushtik naashta apne pariwar ko bana kar de sakte hain. Aap chahein to daal ko ubal kar uska ata bhi ghoond sakte hain.

Dal ka stuffed parantha bhi banaya jaa sakta hai, iske liye chane ki dal ka prayog kiya jata hain.

Dal ka Paratha Recipe in Hindi | दाल का पराठा
 
Ingredients
  • दाल (Dal) - 1 कप
  • गेहूँ का आटा (gehun ka aata) - 2 कप
  • प्याज़ (Pyaaz) - 1 (बारीक कटा हुआ)
  • ज़ीरा (Jeera) - 1 tsp
  • हींग (Hing) - ¼ tsp
  • तेल (Tel) - 1 tbsp
  • लाल मिर्च पाउडर (Lal Mirch Powder) - ½ tsp
  • हरी मिर्च (Hari Mirch) - 1 (बारीक कटी हुई)
  • नमक (Namak) - स्वादानुसार
Instructions
  1. एक बड़े बर्तन में आटा और बाकी सारी सामग्री (पानी छोड़ कर) को मिला लें।
  2. ज़रूरत अनुसार पानी मिला कर आटा गूंद लें।
  3. गूंदे हुए आटे को 15 से २० मिनिट के लिए साफ़ गीले कपड़े से धक कर रख दें।
  4. आटे की लोई लें और सूखे आटे से लपेट लें।
  5. बेलन की मदद से आटे की लोई को रोटी की तरह बेल लें।
  6. रोटी के उपर एक चम्मच घी लगायें और एक तरफ से उठाते हुए लपेटते हुए लोई का आकर दें।
  7. सूखा आटा लगा कर रोटी के आकार में बेल लें।
  8. तवा गरम करें और बेला हुआ परांठा तवे पर डालें।
  9. थोड़ा सा पकने पर परांठे को पलतें और दूसरी तरफ से भी पकायं।
  10. एक चम्मच घी परांठे पर लगायें और परांठे को पलट लें।
  11. दूसरी तरफ से भी हल्का सा घी लगायें।
  12. दोनो तरफ से सुनहेरा पकने पर परांठे को प्लेट में निकालें।
  13. गरमा गरम परांठा अचार और एक कप गरम चाय के साथ सर्व करें।

How to make dal parantha recipe in Hindi:

dal ka paratha banane ki vidhi, dal ka paratha recipe in Hindi

Daal ka Parantha banane ki vidhi | Dal parantha recipe in Hindi

  1. Ek bade bartan mein aata aur baaki saari samagri (paani chhor kar) ko mila lein.
  2. Zarurat anusar paani mila kar aata goond lein.
  3. Goonde hue aate ko 15 se minute ke liye saaf geele kapde se dhak kar rakh dein.
  4. Aate ki loi lein aur sukhe aate se lapet lein.
  5. Belan ki mada se aate ki loi ko roti ki tarah bel lein.
  6. Roti ke upar ek chammach ghee lagayein aur ek taraf se uthate hue lapete hue loi ka akar dein.
  7. Sookha aata laga kar roti ke aakar mein bel lein.
  8. Tava garam karein aur bela hua parantha tave par daalein.
  9. Thoda sa pakne par paranthe ko palatein aur doosri taraf se bhi pakayein.
  10. Ek chammach ghee paranthe par lagayein aur paranthe ko palat lein.
  11. Dusri taraf se bhi halka sa ghee lagayein.
  12. Dono taraf se sunhera pakne par paranthe ko plte mein nikalein.
  13. Garma garam parantha achar aur ek cup garam chai ke saath serve karein.

Read More:

Leave a Reply

Your email address will not be published.

*

code

Rate this recipe: