Dry Fruit Daliya Recipe – Dry Fruits Dalia Banane ki Vidhi

Save

Dry Fruit Daliya Recipe - Dry Fruit Daliya Banane ki Vidhi
 
Prep time
Cook time
Total time
 
Author:
Recipe type: Dessert
Cuisine: Indian
Ingredients
  • दलिया (Daliya) - 1 कप
  • चीनी (Cheeni) - ½ कप
  • काजू (Kaju) - 1 बड़ा चम्मच (बारीक कटा हुआ)
  • बादाम (Almonds) - 1 बड़ा चम्मच (बारीक कटा हुआ)
  • देसी घी (Desi Ghee) - 1 बड़ा चम्मच
  • इलाइची पाउडर (Elaichi powder) - ¼ चम्मच
  • पानी (Paani) - 1 कप
Instructions
  1. दलिया को 2 घंटे के लिए पानी में भिगो कर रख दें।
  2. एक कढ़ाही में घी गरम कर लें और उसमे दलिया को छान कर कढ़ाई में डालें और अच्छे से मिलायें।
  3. आँच धीमी कर दें। शुरू में दलिया कढ़ाई में नीचे चिपकेगा इसलिए दलिया लगातार चलाते रहें।
  4. साथ ही एक पैन में 1 कप पानी में चीनी को मिला कर एक उबला आने पर गैस बंद कर दें। ध्यान रखें की चीनी की चाशनी नही बनानी है।
  5. दलिया भूनने पर उसमे से खुश्बू आने लगेगी। दलिया भूरा होने तक पकाएं।
  6. अब कढ़ाई में चीनी वाला पानी डालें और अच्छे से मिलायें।
  7. दलिया को पानी सूखने तक धीमी आँच पर पकाएं। बीच बीच में दलिया चलाते रहें।
  8. कड़ाही में ड्राइ फ्रूट्स और इलाइची पाउडर डालें और मिलायें।
  9. कड़ाही को धक कर दलिया को 10 मिनिट के लिए धीमी आँच पर रखें।
  10. दलिया पकने पर गैस बंद कर दें और कड़ाही को 5 मिनिट के लिए धक कर रख दें।
  11. गरमा गरम पौष्टिक और स्वादिष्ठ दलिया को ड्राइ फ्रूट्स से सजा कर सर्व करें।
Nutrition Information
Serving size: 2 - 3

Dry Fruit Daliya without milk Recipe:

How to make dry fruit daliya, dry fruit dalia kaise banaye, dry fruit daliya in Hindi

Dry Fruit Dalia Banane ki Vidhi Step by Step Guide Hindi mein:

  1. Daliya ko 2 ghante ke liye paani mein bhigo kar rakh dein.
  2. Ek kadhahi mein ghee garam kar lein aur usme daliya ko chhaan kar kadhai mein daalein aur achhe se milayein.
  3. Aanch dheemi kar dein aur shuru mein daliya kadhai mein neeche chipkega isliye daliya lagataar chalate rahein.
  4. Saath hi ek pan mein 1 cup paani mein chini ko mila kar ek ubala aane par gas band kar dein. Dhyan rakhein ki chini ki chashni nahi banani hai.
  5. Daliya bhoonne par usme se khushboo aane lagegi. Daliya bhoora hone tak pakayein.
  6. Ab kadhai mein chini wala paani daalein aur ache se milayein.
  7. Daliya ko paani sookhne tak dheeni aanch par pakayein. beech beech mein daliya chalate rahein.
  8. Kadhahi mein dry fruits aur elaichi powder daalein aur milayein.
  9. Kadhai ko dhak kar daliya ko 10 minute ke liye dheemi aanch par rakhein.
  10. Daliya pakne par gas band kar dein aur kadhahi ko 5 minute ke liye dhak kar rakh dein.
  11. Garama garam paushtik aur swadisth daliya ko dry fruits se saja kar serve karein.

Incoming Search Terms:

  • How to make dry fruit daliya
  • dry fruit dalia kaise banaye
  • dry fruit wala daliya banane ka tarika in Hindi

Save

Read More:

Leave a Reply

Your email address will not be published.

*

code

Rate this recipe: