Jamun ke fayde – जामुन के फायदे

  • Jaamun ki guthli ka churan shareer par malne se twacha rog theek ho jaate hain aur twacha mulayam ho jaati hai.
  • Jaamun ki pattiyan pees kar chehre par lagane se rang saaf hota hain aur twacha nikharne lagti hai.
  • Jaamun ka ras peene se shareer mein sheetalta bani rehti hai.
  • Thanda hone ki wajah se garmi ke karan ho rahe sir dard mein jaamun khane se raahat milti hai.
  • Piliya ki shikayat hone par jaamun ke sevan se laabh milta hai.
  • Anidra yaani ki neend sahi se na aane par pake jaamun ke ras mein pyaaz ke ras ki kuch boonde daal kar peene se neend achi aati hai.
  • Yadi bachon ke pait mein keede ho gaye ho to jaamun guthli ka churan paani ke saath pilayein. Pait ke keede samapt ho jayenge.
  • Jamun ka lagatar sevan karne se khoon saaf hota hai. Chahre par chamak aati hai.
  • Lagatar jaamun khilane se bachon ke tutlane aur haklane mein bahut araam milta hai.
  • Jamun ke ras mein kala ya sendha namak daal kar peene se khatti dakaar aani band ho jaati hain.
  • Jaamun ka ras peene se shareer ki durbalta door hoti hai. Jee ghabrana aur chakkar aane jaisi bimaariyon ke ilaaj ke liye jaamun bahut faydemand hai.

jamun image, kala jamun, black jamun ke gun

Jamun ke fayde/Labh/Gun in Hindi – जामुन खाने के लाभ:

  • जामुन की गुठली का चूर्ण शरीर पर मलने से त्वचा रोग ठीक हो जाते हैं और त्वचा मुलायम हो जाती है।
  • जामुन की पत्तियाँ पीस कर चेहरे पर लगाने से रंग साफ होता हैं और त्वचा निखारने लगती है।
  • जामुन का रस पीने से शरीर में शीतलता बनी रहती है।
  • ठंडा होने की वजह से गर्मी के कारण हो रहे सिर दर्द में जामुन खाने से राहत मिलती है।
  • पीलिया की शिकायत होने पर जामुन के सेवन से लाभ मिलता है।
  • अनिद्रा यानी की नींद सही से ना आने पर पके जामुन के रस में प्याज़ के रस की कुछ बूंदे डाल कर पीने से नींद अच्छी आती है।
  • यदि बच्चों के पेट में कीड़े हो गये हो तो जामुन गुठली का चूर्ण पानी के साथ पिलायें। पेट के कीड़े समाप्त हो जाएँगे।
  • जामुन का लगातार सेवन करने से खून साफ़ होता है। चहरे पर चमक आती है।
  • लगातार जामुन खिलाने से बच्चों के तुतलने और हकलाने में बहुत आराम मिलता है।
  • जामुन के रस में काला या सेंधा नमक डाल कर पीने से खट्टी डकार आनी बंद हो जाती हैं।
  • जामुन का रस पीने से शरीर की दुर्बलता दूर होती है। जी घबराना और चक्कर आने जैसी बीमारियों के इलाज के लिए जामुन बहुत फयदेमंद है।

Read More:

Leave a Reply

Your email address will not be published.

*

code