Paneer Shimla Mirch Pyaz ki Sabji – Paneer Shimla Mirch Pyaaz Gravy Recipe

Paneer Shimla Mirch Pyaz Sabji Ingredients:

  • Paneer – 200 gram
  • Shimla Mirch – 1
  • Pyaz / Onion – 4
  • Tamatar – 2
  • Haldi powder – ½ chammach
  • Hing – 1 chutki
  • Hari mirch – 1
  • Lal Mirch Powder – ½ chammach
  • Dhaniya Powder – 1 chammach
  • Jeera – ½ chammach
  • Garam masala – ½ chammach
  • Namak – 1 chota chammach ya Swadanusar
  • Ghee / Tel – 2 bade chammach

paneer shimla mirch pyaz ki sabji image, paneer shimla mirch pyaz banane ki vidhi

Paneer Shimla Mirch Pyaz ki Gravy Sabji Banane ki Vidhi:

  • Paneer Shimla Mirch Pyaz ki Gravy wali sabji banane ke liye, paneer ko dhokar chakor tukde kaat lein.
  • Shimla mirch ko bhi dhokar kaat lein.
  • Do pyaaz ko kaat kar pees lein aur baaki do pyaaz ko mota kaat kar alag rakh lein.
  • Tamatar aur hari mirch ko ek saath pees lein.
  • Ek kadahi mein ghee yaa tel garam karke shimla mirc. aur pyaz ko shallow fry kar lein aur elk plate mein nikaal lein.
  • Ab kadahi mein jeera aur hing daalein.
  • Jeera tadakne par peese hue pyaaz daalein aur bhune.
  • Pyaaz sunhera hone par peese hue tamatar aur hari mirch kadahi mein daalein aur pakayein.
  • Jab masala ghee chorne lage tab aanch dheemi karke  dhaniya powder, lal mirch powder, haldi powder kadahi mein daaein aur acche se mix karke 1 se 2 minute pakayein.
  • Ab kadahi mein shimla mirch, paneer aur pyaaz daalein, namak aur 2 cup paani daalkar dheemi aanch par pakne dein.
  • Sabji ko 7 se 10 minute dheemi aanch par pakayein, beech beech mein hilate rahe aur phir gas band kar dein.
  • Tyaar sabji par upar se garam masala daalein aur roti chawal ke saath serve karein.

Incoming Search terms:

  • paneer shimla mirch pyaz ki sabji banane ki recipe
  • paneer shimla mirch recipe in Hindi
  • paneer shimla mirch pyaz ki recipe banane ka tarika Hindi mein

Read More:

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

*

code